Musafir hu in raho ki , dar b dar firti hu, Apne aap ko in raho ke taraju me tolti hu, Dil he mera patthar nhi he, Jo hr koi tod dega, Har dil ki hakikat ko bakhubi samjhti hu…………..
Jab dil dukhta he to achaa nhi lagta, Marj kesa bhi ho bilkul nhi fabta, Jaruri nhi sabko sabkuch mile iss duniya me, Har gulab hamesha mandiro par nhi chadta, Sabki kismat ek jesi hoti kha he yha par, Kisi ko ye nhi milta , To kisi ko who n hi milta………..
Safalataa tab tak kadam nhi chumti, Jab tak dil me mehnat karne ki lalak naa ho, Khushiyan tab tak muh nhi modti, Jab tak ahankar ka falak naa ho, Jindgi ka majaa tab tak nhi aata he, Jab tak paschatap se udha khalal naa ho, Or mann ka socha tabhi pura hota he, Jab tak use paane ki iccha prabal naa ho………….
Kadam aage badayaa he to, Manjil miegi jarur, Kuch pane ki he ichaa to, Safalata milegi jarur, Mann me ho junun gar, Tera lakshya ko paane ka , Ye duniya tere kadmo me, Jhuki milegi jarur, Honsla krake apne sapno ko, Udaan to de, Ye aasman ki unchain bhi, Tujhe kam lagegi jarur, Khud par vishwas karke, Aage to badd, Ye duniya bhi tujhpe vishwas, krne lagegi jarur..........
Jana he mujhe vahaa, Jahaa dharti or aasmann ho milte, Jana he mujhe vahaa , Jahaa nadiya or sagar ho milte, Jahaa suraj ko ugte dekhu, Or sham ko dhalte, Jahaa jharno ko girte dekhu, Or dhundh ko udte, Jahaa pedo ko hilte dekhu, Or phulo ko khilte, Jana he mujhe vahaa, Jahaa prakrti or insaan ho milte, Jana he mujhe vahaa, Jahaa bhoo mata ki god or pyar ho milte.............
Beet gye jo pal, unko wapas laye kon, ab nai yaade banaa kar, aage bad jana he....... Toot chuki jo dor dil ki, usko jod paaye kon, aab usme gadh lagaa kar , aage bad jana he....... mann ka socha , kabhi naa hota ye doha kabhi banaa naa hota gar kisi ka dil naa tut ta, gar kisi ka ghar naa choot ta, purani baton par mitti dal kar phir aage bad jana he.... khatam ho chuke jo raste unhe phir aage le jana he.. soch purani ko chod kar, beeti baton se muh modkar, nai yaaden or baaten banana he.... sahi kha he yaro sabne, Beeti tahi bisari ke phir aage bad...